Please use this identifier to cite or link to this item: http://hdl.handle.net/10603/569230
Title: Ekkeeswin sadee ke Hindi upanyason main krishak sanskriti
Researcher: Rachna
Guide(s): Rawat, Yojna
Keywords: Bazarikaran
Krishak sanskriti
Nagrikaran
Samajikta
Upnayas
University: Panjab University
Completed Date: 2023
Abstract: Ekkeeswin sadi ke chaynit hindi upnyason mein krishak sanskriti ke vividh pahluon ko ubhar kar bhartiya krishak sanskriti ki aadhunik parivartiyon ko darshaya gya hai . Krishak sanskriti ke samajik parivesh ke antargat parivarik vighatan, sambandhon mein algav, jatigat bhedbhav, nari sashaktikaran, naitik mulyon ke navin mapdand aadi ka ankan hua hai. Krishak sanskriti ke sanskritik parivesh mein krishakon ka rahan- sahan, khan-pan,veshbhusha, parav-tayohar, aachar-vichar aadi ka vishleshan kiya gaya hai. Krishak sanskriti ke arthik parivesh per bajarwad, nagarikaran jaisi arthik nitiyon ka prabhav pada hai. Desh ke vikas avm pragati ke naam per anek bahurashtriy companiyon dwara krishi bhumi ka adhigrahan, krishakon ka visthapan tatha punarvas prabandhan mein shithilta ke chalte krishi karyo ko gehri thes pahunchi hai. Yuva varg mein krishi se palayan ki parivarti badhati ja rahi hai. Krishi ko tyag kar aajivika ke anya sadhno ki talash mein yuva pidhi apni jadon se cut kar bhatkav ki sthiti mein pahunch rahi hai. Vivechy hindi upnyason mein krishak sanskriti ke dharmik parivesh ko bhi rekhankit kiya hai. Krishko mein dharmik anushthanon avm karmkando ke prati gehri aastha pai jaati hai. Krishak sanskriti mein solah sanskaron ka nirvahan purn shradha se kiya jata hai. Krishak sanskriti ke rajnitik parivesh mein chunavi kutniti aur shadyantron ko drasaya gaya hai. Sarkari yojnaon ke kriyanvayan mein vyapt bhrashtachar ke karan krishakon ka shoshan hota Hai. krishak aatmhatya per bhi rajnitigy apni rotiyan sakte hai. Krishak rajnitik roop se jagruk bhi hai. Kuchh krishak rajnitik visangatiyon ke viruddh khade hokar apna wrchsw kayam karte hain. Ekkeeswin sadi ke chaynit Hindi upnyason ka adhyayan karne ke paschat mukhya roop se bhartiya sanskriti ka digdarshan karvane wali krishak sanskriti par adhunik pravrittiyon ka prabhav dikhai deta hai. Prachin samay mein krishakon ki arthik sthiti vishesh roop se krishi per aadharit thi.
Pagination: 314p.
URI: http://hdl.handle.net/10603/569230
Appears in Departments:Department of Hindi

Show full item record


Items in Shodhganga are licensed under Creative Commons Licence Attribution-NonCommercial-ShareAlike 4.0 International (CC BY-NC-SA 4.0).

Altmetric Badge: