Please use this identifier to cite or link to this item: http://hdl.handle.net/10603/542047
Title: Shailivigyan mein chayan evam sanyojan Om Prakash Valmeeki kee aatmkatha evam kahanion ke sandrabh mein
Researcher: Ritu
Guide(s): Baijnath Prasad
Keywords: Chayan
Gaday Basha
Sanyojan
Shaili aur Shailivigyan
Vichaln
University: Panjab University
Completed Date: 2022
Abstract: Bhasha abhivyakti ka sashakt madhyam hai. Bhasha ke dwara manushya apne man me utppan bhavo evam vicharon ko dusro ke samaksh prakat karta hai aur svayam dusro ke bhavon aur vocharon ko samjhne me Samarth hota hai. Manushay ka astitav samaj sapeksh hota hai. Yah samaj hi hai jo jeevan se lekar marityu tak ek sahyogi ke roop mein kaary karta hai. Ath hum kah sakte hai ki manushay ek samajik prani hai jo samaj me rahkar apna jeevan yapan karta hai, ttha bhasha ke madhyam se apne bhavo aur vicharon ko abhivykat karne ke liye jin madhyamon ka prayog karta hai, unme bhasha sarvadhik sashakt madhyam hai. newlineOmprakash valmiki vartamaan dalit sahitya ke pratinidhi rachnakaron mein se ek hain. Inkaa sahitya mein bhartiya dalit samaj ke darshan hote hain. Valmiki ji apne oajpoorn sashakt sahitya ke kaaran aaj hindi sahitya me charchit evm prasidh vyakti maane jate hain. Unka sahitya unke dwara bhoge huye yatharth prkat karne mein saksham hain. Valmiki dalit sahitya ke jaane-maane purodha hain. Inhone apne sampoorn sahitya mein dalit jeevan ki poori vyatha-katha ko vyakt kar apni vivaksha ko sampoorn roop se sampreshit karne ka kaary kiya hai. Aanyay ttha samaj wyastha ke prti unke seene me jo aakrosh tha. Vhi aakrosh ne unke sahitya me aakaar prapt kiya hai. Prtham adhyay shaili aur shailivigyan se sambandhit hai. Jisme shailli aur shailivigyan ko paribhashaon me bandhne ka prayas kiya gaya hai. Shodh- prabandh ka doosra adhyay chayan evm sanyojan se sambandhit hai. shodh prabandh ka tritya adhyay gadhy bhasha se sambandhit hai jisme prayojan ke aadhaar par teen prakar kiye gaye hain. Samanya bhasha, kavybhasha evm kathabhasha. Shodh-prabandh ka chaturth adhyay omprakash valmiki ke vyaktitav evm kartitv se sambandhit hai. Jisme unke ke aarthik, saamajik evm graamin sangrsh ko dikhane ka pryas kiya gaya hai. Shodh-prabandh ka pancham adhyay omprkash valmiki dwara likhit aatmkatha joothan se sambandhit hai. Yahan chayan evm sanyojan ke sahare aatmkatha ka nirvachan evam vishleshan kiya gaya hai.
Pagination: 414p.
URI: http://hdl.handle.net/10603/542047
Appears in Departments:Department of Hindi

Files in This Item:
File Description SizeFormat 
01_title page.pdfAttached File98.8 kBAdobe PDFView/Open
02_prelim pages.pdf14.51 MBAdobe PDFView/Open
03_chapter 1.pdf849.04 kBAdobe PDFView/Open
04_chapter 2.pdf657.2 kBAdobe PDFView/Open
05_chapter 3.pdf694.08 kBAdobe PDFView/Open
06_chapter 4.pdf657.47 kBAdobe PDFView/Open
07_chapter 5.pdf826.83 kBAdobe PDFView/Open
08_chapter 6.pdf936.08 kBAdobe PDFView/Open
09_chapter 7.pdf748.7 kBAdobe PDFView/Open
10_chapter 8.pdf762.01 kBAdobe PDFView/Open
11_conclusion.pdf1.91 MBAdobe PDFView/Open
12_annexures.pdf793.09 kBAdobe PDFView/Open
80_recommendation.pdf272.29 kBAdobe PDFView/Open
Show full item record


Items in Shodhganga are licensed under Creative Commons Licence Attribution-NonCommercial-ShareAlike 4.0 International (CC BY-NC-SA 4.0).

Altmetric Badge: