Please use this identifier to cite or link to this item: http://hdl.handle.net/10603/486763
Title: Saadat Hasan Manto ke sahitya mein pratirodh chetna
Researcher: Sunita Kumari
Guide(s): Gurmeet Singh
Keywords: Aarthik
PratirodhChetna
Rajnaitik
Samajik
Sanskritik
University: Panjab University
Completed Date: 2022
Abstract: Pratirodh Chetna Kisi bhi samaj ka apariharya mulya hai. Jiske madhyam se samaj mein sthapit rudhivadi mulya parampara ko samapt kiya jata hai. Pratirodh Chetna manushya ke antarjagat mein ghatit hota hai, jiske karan vah sawal uthata hai, sandeh karta hai aur aswikar karta hai. Is prakar Pratirodh Chetna samajik gatishilta ka mahatvapurn niyamat hai. Rachnakar apni rachnaon ke madhyam se yatharth ka praktikaran karta hai. Vah pathak ki samvedna se judta hai, uske mansik sangharsh ka chitran karta hai parantu aisa sadaiv sambhav nahin ki sahitya dwara samaj mein Parivartan aa hi jaaye. Yah avashya pramanit hai ki bahut sa sahitya samaj mein parivartan ki neev Rakhta hai, use agragami banata hai. Sahityakaar apne srijan ke alok mein pathak mein badlav lata hai aur fir pathak samaj mein badlav lata hai. Yah ek anyonyashrit prakriya hai. Rachnatmak karam use prkriya ke bich setu hai. Is prakar sahityakar apne rachna karam se vyakti ka mansik sanskar karta hai. Vah pathak mein Pratirodh Chetna ka sanchar Karke use shoshan v utpidan se mukti Ke path per agrasar karta hai. Sahitya ekmatra aisa madhyam hai jo bina anubhav ke anubhuti ke str tak ja sakta hai. Jisse vaicharik falak ka nirman hota hai. Vyakti pratyek str per jivan ke stya se sakshatkar karne mein saksham ho pata hai. Urdu Sahitya mein Saadat Hasan manto ne yah daayitv bakhubi nibhaya hai. Manto ki drishti mein yatharthvad ki anubhuti ko samajhne, swikarne aur jaanane ke liye Pratirodh Chetna ekmatra madhyam hai. Unhone samaj ki visangatiyon ka yatharth chitran kiya hai aur apni rachnatmakta ke madhyam se samaj ke dalit, shoshit, pidit varg mein anyay newlineanaitikta aur amanviyata ke Khatme ke liye tivr utkantha paida karne k prayas kiya hai. Pratirodh Samajik, Rajnitik, Dharmik ya kisi bhi vyavastha mein parivartan ka aadhar hai. Yah avashyak hai ki Pratirodh kiya jaaye tabhi parivartan sambhav hai. Jab samaj mein anya v anaitikta ka str badh jata hai tab Pratirodh Chetna dwara hi samuhik hiton ki raksha ki ja sakti hai.
Pagination: viii, 440p.
URI: http://hdl.handle.net/10603/486763
Appears in Departments:Department of History

Files in This Item:
File Description SizeFormat 
01_title page.pdfAttached File429.86 kBAdobe PDFView/Open
02_prelim pages.pdf2.22 MBAdobe PDFView/Open
03_chapter_01.pdf974.04 kBAdobe PDFView/Open
04_chapter_02.pdf1.16 MBAdobe PDFView/Open
05_chapter_03.pdf1.18 MBAdobe PDFView/Open
06_chapter_04.pdf1.53 MBAdobe PDFView/Open
07_chapter_05.pdf1 MBAdobe PDFView/Open
08_chapter_06.pdf746.62 kBAdobe PDFView/Open
09_chapter_07.pdf634.01 kBAdobe PDFView/Open
10_chapter_08.pdf588.72 kBAdobe PDFView/Open
11_annexures.pdf14.57 MBAdobe PDFView/Open
80_recommendation.pdf764.96 kBAdobe PDFView/Open
Show full item record


Items in Shodhganga are licensed under Creative Commons Licence Attribution-NonCommercial-ShareAlike 4.0 International (CC BY-NC-SA 4.0).

Altmetric Badge: