Please use this identifier to cite or link to this item: http://hdl.handle.net/10603/471211
Title: Dayananda rgbhssya ke nirvacanom ka vyakaranasastriya adhyayana caturtha se saptama mandala ke sandarbha mem
Researcher: Anjali
Guide(s): Alankar, V.K.
Keywords: Dayanand-Rigbhashya
Manrarv
Pratyay
Vedic study of the grammar
Vyakarana
University: Panjab University
Completed Date: 2022
Abstract: Samast pracheen bharateeya granth muktakanth se vedon ka mahima-mandan karte hain. Unki upadeyata ke karan vedaavirbhavkaal se hi vedadhyayan aarambh ho gaya tha, kintu vedbhashya ya vedarth ki parampara ka upakram tab hua jab logon ko maulik upadesh dwara vedarth gyan me asamarthya anubhav hone laga. Anekon aacharyon ne apni-apni drishti anusar vedarth kiya aur vedvishay me anek bhashya hue.Dayanand ne paramarthik ke sath hi vedmantron ki vyavaharik vyakhya bhi prastut ki. Is shodhprabandh me Dayanand-Rigbhashya ke chaturth se saptam(uplabdh) mandal tak ke nirvachanon ka vyakaran parak adhyayan kiya gaya hai.Bhumika me vedadhyayan ki parampara, Dayanand ki vedarth drishti tatha anukaran karne wale vidvanon ka sankshipt varnan hai. Sarvapratham Rajavachi Nirvachanon ka sankalan kiya gaya hai. Agrim adhyay me prashasanik va yauddhik nirvachan hain. Tatah Shodhprabandh me manaveeya nirvachan hain, jinme manavangvachi, tadgunvachi, sambandhvachi va charon aashramon se sambandhit nirdhanon ka vyakaranaadhyayanpoorvak grahan kiya gaya hai. Agrim adhyay me shiksha se sambandhit nirvachan hain, jinme pratham vidvadvachi nirvachan hai dwitiya adhyapak va adhyetaon se sambandhit nirvachan hain. Shodhprabandh me prakritik, darshanik tatha ishwarvachi nirvachan bhi griheet hain. Panchamahaabhut- parak nirvachan ek purna adhyaay me sthan diya hai. Antim adhyay me yatra tatra vikeern swalpmatra me prapt nirvachan vyakaranik adhyayansahit sankalit hain. Tatpashchat upasanhaar tatha parishisht, parishisht me do bhag hain ek me samast vyakhyat nirvachanon ki prishth-sankhya-samet soochi tatha dwiteeya me sandarbh-granth-soochi hai. Dayanand Saraswati ne vedarth ke liye vyakaran,nirukt,nighantu tatha brahman- granthon ki sahaayta li, unka vedbhashya swakalpit na hokar aarshsiddhantaanusari hai. Unka mantrarth sarvaangeen, sarvopayogi va hridayagraahi hone se manav-maatra ka hitaishi hai. newline
Pagination: xvi, 473p.
URI: http://hdl.handle.net/10603/471211
Appears in Departments:Dayanand Chair for Vedic Studies

Files in This Item:
File Description SizeFormat 
01_title.pdfAttached File131.84 kBAdobe PDFView/Open
02_prelim pages.pdf1.05 MBAdobe PDFView/Open
03_chapter1.pdf325.54 kBAdobe PDFView/Open
04_chapter2.pdf371.45 kBAdobe PDFView/Open
05_chapter3.pdf441.75 kBAdobe PDFView/Open
06_chapter4.pdf392.45 kBAdobe PDFView/Open
07_chapter5.pdf312.39 kBAdobe PDFView/Open
08_chapter6.pdf278.37 kBAdobe PDFView/Open
09_chapter7.pdf326.36 kBAdobe PDFView/Open
10_conclusion.pdf133.21 kBAdobe PDFView/Open
11_annexure.pdf200.45 kBAdobe PDFView/Open
80_recommendation.pdf265.35 kBAdobe PDFView/Open
Show full item record


Items in Shodhganga are licensed under Creative Commons Licence Attribution-NonCommercial-ShareAlike 4.0 International (CC BY-NC-SA 4.0).

Altmetric Badge: