Please use this identifier to cite or link to this item: http://hdl.handle.net/10603/352005
Title: Sharad Singh ke sahitya mein nari vimarsh
Researcher: Sapana
Guide(s): Sood, Neerja
Keywords: Feminism
Narivad
Nari-vimarsh
Sharad Singh
Stree-vimarsh
University: Panjab University
Completed Date: 2021
Abstract: Nari aur purush ka sambandh paraspar prem aur sauhard par adharit hai. Dono ek-doosre ke na keval sahchar hain, apitu poorak bhi hain. Nari aur purush ke sanyukt vikas par hi ek sabhya samaj kee kalpna kee ja sakti hai.samaj kee prarambhik avastha me parivar ke mukhiya kee bhoomika me nari apne dayitva ko kushaltapoorvak nibhate huwe samagra parivar ko sangathit rakhne mein saksham thi.pitrisattatmak samaj ne nari se uske adhikar chheen kar use doyam darze par la khada kiya. Nari-vimarsh aitihasik prishthbhoomi par parivarik, samajik, arthik, rajneetik, dharmik evam sanskritik adi drishtiyon se nari kee sthiti kee parakh karte huwe, uske sakaratmak vikas kee or agrasar hota hai. Nari ke mool adhikaron ke liye zameen taiyar kar, ek samta-poorna duniya rachna iska jeevan darshan hai.nari-vimarsh ka adhyayan do drishtiyon se kiya jata hai- bhartiya aur pashchatya. Nari-vimarsh kee sashakt hastakshar sharad singh ne apne sahitya me astitva ke liye sangharshratt nari dwara bhoge gaye santras ka yatharth chitran kiya gaya hai. Daihik shoshan ke antargat gharelu hinsa, veshyavritti, balatkar tatha saikshnik kshetra evam bediya samaj me daihik shoshan ko chitrit kiya gaya hai. Mansik shoshan ke antargat parivarik, vyavsayik, rajneetik, sanskritik aur bediya-samaj mein mansik shoshan ko abhivyakti mili hai.nari ke mansik shoshan se utpanna manovikaron ko inke sahitya mein vishesh roop se darshaya gaya hai, jiske antargat ekakipan, apradh-bodh, ateetonmukhta, sandeh, anastha, nairashya aur heen-granthi adi par vyapak prakash dala gya hai. Arthik shoshan ke antargat parivarik, vyavsayik, kanooni, parnirbharta-janit aur bediya samaj mein nari-shoshan ko abhivyakti mili hai. Inke sahitya mein nari-sangharsh ka chitran pitrisattatmakta, prampragat roodhiyon aur samajik shoshan ke viruddh tatha vaivahik sambandhon mein sam-sahbhagita, asmita kee talash evam arthik sthayitva ke liye aur bediya samaj mein nari-sangharsh ke roop me huwa hai. Parivarik vighatan ko santati, vaivahik aur anya sambndhon ke antargat chitrit kiya gaya.
Pagination: xii, 408p.
URI: http://hdl.handle.net/10603/352005
Appears in Departments:Department of Hindi

Files in This Item:
File Description SizeFormat 
01_title.pdfAttached File239.11 kBAdobe PDFView/Open
02_certificate.pdf690.69 kBAdobe PDFView/Open
03_abstract.pdf333.36 kBAdobe PDFView/Open
04_contents.pdf298.91 kBAdobe PDFView/Open
05_chapter1.pdf524.94 kBAdobe PDFView/Open
06_chapter2.pdf772.06 kBAdobe PDFView/Open
07_chapter3.pdf752.51 kBAdobe PDFView/Open
08_chapter4.pdf709.38 kBAdobe PDFView/Open
09_chapter5.pdf592.29 kBAdobe PDFView/Open
10_chapter6.pdf525.68 kBAdobe PDFView/Open
11_chapter7.pdf563.31 kBAdobe PDFView/Open
12_chapter8.pdf604.48 kBAdobe PDFView/Open
13_conclusion.pdf355.6 kBAdobe PDFView/Open
14_appendices.pdf414.13 kBAdobe PDFView/Open
15_bibliography.pdf401.62 kBAdobe PDFView/Open
80_recommendation.pdf355.6 kBAdobe PDFView/Open
Show full item record


Items in Shodhganga are licensed under Creative Commons Licence Attribution-NonCommercial-ShareAlike 4.0 International (CC BY-NC-SA 4.0).

Altmetric Badge: